Khoon K Nishan

1467 Words
ek din sab sanata hogaya Hawa ruk gayi. Masjid me sirf Malik ki saans ki awaaz thi. Gehri. Bhaari. Jaise zameen ke neeche se aa rahi ho. Malik ki aankhein kaali ho gayin. Bilkul kaali. Sufaid hissa gayab. Sirf 2 kaalay gahay. Assalamualaikum... uski awaaz me 2 awaazein theen. Ek Malik ki. Ek kisi aur gehri, purani cheez ki. Jaise 100 saal purana kon se awaaz aa rahi ho. Me Malik hun... wo bola. Uske hont nahi hil rahe the. Awaaz hawa me goonj rahi thi. Masjid me koi saans bhi nahi le raha tha. 20 log the. Sab ke paseene choot gaye. Aur ab... Malik ne haath uthaya. Uske haathon se kaala dhuaan nikalne laga. Dhuaan ne haathon ki shakal li. 7 ungliyan. Naakhun lambe. Me bhuka hun... Bismillah... Haji Imran aage barhay. Haath me tasbeeh thi. Awaaz kaanp rahi thi par ruki nahi. Batti dhupp karke bujh gayi. Andhera. Sirf 1 awaaz goonji. Malik ki hansi. Dheemi. Thandi. Dhoond lo mujhe... agar himmat hai to. Andhere me 1 buzurg chillaya. Bhaago! Sab bhaagne lage. Par darwaza band tha. Bahir se kisi ne lock kar diya tha. Khirki! koi bola. 3 log khirki ki taraf bhage. Malik ne sirf haath hilaya. Khirkiyan tharr karke toot gayin. Sheesha sab pe gira. Tum ne mujhe 8 taalon me band kiya tha Haji. Dhuaan bola. Malik ke munh se nahi, har taraf se awaaz aa rahi thi. Ab me 8 rooh lun ga. 1 har taale ke badle. 1 naujawan bhaaga. Dhuaan ka haath bijli ki tarah uske peeche gaya. Usay hawa me uthaya. Choro... larka chillaya. Dhuaan uske andar ghus gaya. Larka sakat ho gaya. Aankhein safed. Phir wo hawa me raakh ban kar ur gaya. Sirf kapray gir gaye zameen pe. 1 ho gaya... Malik hansa. Masjid me cheekhain. Bacche ro rahe the. Aurtein gir rahi theen. Haji Imran chillaye: Sab zameen pe baith jao! Surah Baqarah! Par kisi ki zubaan nahi khul rahi thi. Dar se. Rafiq darwaze ke peeche chipa hua tha. Uska dil itni zor se dharak raha tha ke lag raha tha bahir nikal aayega. Rafiq... Haji Imran ki awaaz aayi. Qurani aayat wala loha kahan hai? Jo me ne diya tha? Rafiq kaanp rahe haathon se apne kapray me haath dala. 1 lohe ka chota tukra nikala. Thanda. Uspe 7 nishan bane hue the khoon se. Ye... ye kya hai Haji sahab? Rafiq ka haath kaanp raha tha. Ye band hai. Haji bole. Khoon unki ankho pe tha. 8 taala . Aur band sirf kholne wala hi kar sakta hai. Malik aage barha. Uske paon zameen se 2 inch upar the. Wo chal nahi raha tha. Ghasit raha tha. Bahut der ho chuki hai. Malik bola. Me 70 saal baad jaaga hun. Ab koi nahi rok sakta. Usne haath zameen pe maara. Dhaam Poora farsh phat gaya. Beech me 1 suraakh ban gaya. Andhera. Gehra. Neeche se badboo aayi. Saday hue gosht ki. Aur us suraakh me se kaala dhuaan nikla. Jaise 100 bhoot ek saath nikal rahe hon. 1 taala khul chuka hai... Malik ne hansi. Aur ab... saza ka waqt : Malik Ka Khaatma Andhera. Masjid me sirf Malik ki hansi goonj rahi thi. Har diwaar se. Har kone se. Haji Imran ne himmat nahi haari. Unhone zor se Ayat-ul-Kursi parhni shuru ki. Awaaz kaanp rahi thi par ruki nahi. Allahu la ilaha illa Huwal Hayyul Qayyum... La ta'khuzuhu sinatun wa la nawm... Malik hansa. Der ho chuki hai Haji sahab. Qur'an mujh pe asar nahi karta. Me Qur'an se pehle ka hun. Uske dhuaan ke haath aage barhay. 1 buzurg ko pakra. Buzurg ki cheekh nikli. Uska jism murajhnay laga. Jaise saara khoon nikal gaya ho. Aur wo hawa me dhuaan ban kar mil gaya. Sab bhaagay. Par masjid ka darwaza band ho gaya tha. Bahir se. Lohe ka. Koi nahi jayega... Malik bola. Tum sab ne 1phla taala kholne me madad ki thi. Ab saza lo. Tabhi peeche se awaaz aayi. Gehri. Thaki hui. Ruk jao. Sab ne palat kar dekha. Rafiq khara tha. Par ye wo Rafiq nahi tha jo bhaag gaya tha. Uske kapray phatay hue the. Maathe se khoon beh raha tha. Aankhein laal. Haath me wo Qurani aayat likha hua lohe ka tukra. uzair ne phla taala khola... Rafiq bola. Uska gala baith gaya tha. To ab me Koshish karuga band karne ki Malik palta. Usne Rafiq ko upar se neeche dekha. Tum? Tum to dar ke bhaag gaye thay. Haan dar gaya tha. Rafiq aage barha. 1 qadam. 2 qadam. Par ab dar khatam ho gaya. Kyunki me jaan gaya... tum Malik nahi ho. Kya matlab? Malik ka chehra bigar gaya. Pehli baar dar nazar aaya uski aankh me. Tum us dabbe me band cheez ho. Rafiq ne lohe ka tukra uthaya. Uspe 7 nishan khoon se chamak rahe the. Malik ne tumhe 70 saal pehle 8 taalon me band kiya tha. Kyunki tum insaan nahi ho. Tum... bhuk ho. Roohon ki bhuk. 1 jinn jo apne maalik ko kha gaya tha. Masjid me sannata. Malik garja. Poori masjid ki chhat hil gayi. Bakwas band karo. Nahi. Rafiq chillaya. Dar khatam. Haji sahab ne kaha tha. 2sra taala muqafal tha. Qaid. Aur qaid sirf usi se band hoti hai jo imandar ho Dil ka saf ho. Me ne aj toba Kari he To me hi band karunga. Usne apni ungli kaat li naakhun se. Khoon nikla. Garam. Ye mera khoon hai. Rafiq ne khoon lohe ke tukray pe lagaya. Loha chann karke garam ho gaya. Jis dar se tum niklay thay... usi dar se tum wapis jao ge. Usne tukra zor se zameen pe maara. Dhaam Poori masjid hil gayi. Bijli chali gayi. Malik chillaya. Uski shakl badalne lagi. Malik ka chehra phatne laga. Jild utar rahi thi. Neeche se kaala dhuaan nikla. Be-shakl. Be-chehra. Sirf 2 laal aankhein. Sirf bhuk. Nahi... nahi... me azad hun... 70 saal baad... Nahi thay. Haji Imran ne aakhri aayat buland awaaz me parhi. Inna Kullu Shay'in Khalaqnahu Bi Qadar Zameen phat gayi. Beech me bara suraakh. Wahi basement ka munh. 40 foot gehra. Aur us suraakh me se zor ki kashish aayi. Jaise 1000 vacuum ek saath chal rahe hon. Hawa khinch rahi thi. Kaala dhuaan cheekhta hua us suraakh me khinch gaya. Malik ka Malik wala chehra aakhri baar nazar aaya. Dar. Phir ghussay. Phir ghul gaya. Mujhe... choro... Dhummm Suraakh band ho gaya. Farsh jor gaya. Jaise kuch hua hi na tha. Masjid me sannata. Batti takk karke wapis aa gayi. Rafiq zameen pe gir gaya. Be-hosh. Haath me wo loha ab saaf tha. 7 nishan mit gaye the. Sirf loha tha. Haji Imran bhage Rafiq ke paas. Zinda hai... Shukar Alhamdulillah. 3 Din Baad Police aayi. Factory ko gira diya. Bulldozer se. Basement me 40 foot cement dala gaya. Upar 1 choti masjid bana di gayi. Masjid-e-Noor naam rakha gaya. Mohalle me aman ho gaya. Raat 3 baje koi awaaz nahi. Koi cheekh nahi. Rafiq hospital se ghar aaya. Usay 3 din kuch yaad nahi tha. Doctor ne kaha Trauma. Par raat ko usay sapne aate the. 1 awaaz. Shukriya Rafiq... Wo awaaz Malik ki nahi thi. Gehri thi. Purani. Thaki hui. Jaise 70 saal baad kisi ne saans li ho. Jaise koi qaid se nikal kar phir apni qaid me wapis chala gaya ho. Apni marzi se. 1 Hafta Baad Mohalle ke bachay kehte hain... raat 3 baje factory ki jagah pe... ab azan ki awaaz aati hai. Khud ba khud. Bina muezzin ke. Allahu Akbar... Allahu Akbar... Jaise koi shukar ada kar raha ho. Jaise koi keh raha ho... Khatam ho gaya. Rafiq aaj bhi raat 3 baje uth jata hai. Paseene me. Par ab dar nahi lagta. Kyunki wo jaanta hai... 1phla taala band ho chuka hai. Hamesha ke liye. *Author Note* Assalamualaikum Readers, Agar aap yahan tak pohanch gaye hain... to sabse pehle Shukriya. Dil se Shukriya. Cursed Dabba 1phla Taala meri pehli horror story thi. abhi 7 taale khulna baqi he Jo k ek darr or Maut he Ye kahani sirf darane ke liye nahi thi. Ye us dar ke bare me thi jo hum andar band karke rakhte hain. Jo 8 taalon me band hota hai. Aur 1 din khul jata hai. Rafiq hum sab hain. Dar ke baad himmat. Haji Imran us umeed ka naam hai jo kabhi nahi marti. Aur Malik... Malik wo cheez hai jisse hum bhaagte hain. Par jiska samna karna parta hai. Agar kahani achi lagi ho to 1 Comment zaroor kijiye ga. Bataiye... Raat 3 baje aapko dar laga ya nahi? Aur haan... Agar aap chahte hain ke cursed Dabba ki 2sri kahani aaye...2sra tala k se or kis ne khola to bata dijye Apna khayal rakhiye ga. Raat ko akelay basement me mat jaiye ga. Allah Hafiz. *THE END* ---
Free reading for new users
Scan code to download app
Facebookexpand_more
  • author-avatar
    Writer
  • chap_listContents
  • likeADD