Baarish wali raat ke 3 din baad.
Haveli mein sab normal tha. Alina ko lag raha tha shayad khatra tal gaya hai.
Subah Rayyan jaldi office nikal gaya. Jane se pehle bola "Aaj kahin mat jana. Main shaam tak wapis aaunga."
Alina ne sar hila diya. "Theek hai."
Dopahar 2 baje. Manager bhagta hua aya. "Miss! Bahar ek aurat aayi hai. Kehti hai aap ki rishtedar hai. Behen se milne aayi hai."
Alina ka dil baith gaya. "Naam kya hai?"
"Sana Khan."
Alina ne foran guards ko call ki. "Andar mat aanay dena."
Lekin bohat dair ho chuki thi.
Sana drawing room mein baithi thi. Laal dress. Haath mein gift ka dabba. Chehre par meethi muskurahat.
"Wah! Kya baat hai Mrs. Khan." Sana uthi. "Kesi hain aap?"
"Tum yahan kya kar rahi ho?" Alina ne sakhti se poocha. "Police ke baad bhi sharam nahi aayi?"
"Police?" Sana hansi. "Saboot nahi tha na. Is liye chhoot gayi. Lekin main wapis aa gayi hun."
Guards aage barhe. "Miss hukum dijiye."
"Ruko." Sana ne haath uthaya. "Main mehman hun. Gift layi hun Alina ki behen ke liye."
Alina ne dabba dekha. Dil ne kaha kuch ghalat hai. "Wapis le jao."
"Le lo." Sana ne dabba zabardasti Alina ke haath mein de diya. "Behen ke liye chocolate hai."
Tabhi Alina ka phone baja. Rayyan ki call.
"Kahan ho?" Rayyan ki awaz ghabrayi hui thi.
"Ghar par. Sana aayi hai."
"KYA?!" Rayyan chillaya. "Usay ghar se nikalo abhi! Main 10 minute mein aaraha hun!"
Call cut ho gayi.
Sana ne ye sab suna aur hansi. "Itni fikar? Wah. Contract mein ye bhi likha hai kya?"
Alina ne dabba meez par phenka. "Nikal jao."
"Ja rahi hun." Sana darwaze tak gayi. Phir palti. "Oh haan, wo dabba kholna mat. Usmein tumhare liye surprise hai."
Keh kar wo chali gayi.
Guards ne peecha kiya lekin wo nikal gayi.
Alina ke haath kaanp rahe the. Usne foran dabba uthaya aur bahar lawn mein le gayi.
Rayyan 7 minute mein pohoch gaya. Gari se utarte hi bola "Dabba kahan hai?"
"Lawn mein." Alina ne ishara kiya.
Rayyan ne bomb squad ko call ki. 2 minute mein dabba check hua.
Andar chocolate nahi thi. Andar ek chota sa device tha. Aur ek letter.
Letter par likha tha: "Ye sirf warning hai. Agli baar asli bomb hoga. Contract khatam karo. - S"
Rayyan ka chehra gusse se laal ho gaya. Usne deewar par mukka mara.
"Ye aurat pagal ho gayi hai!"
Alina dar gayi. "Meri behen..."
"Fikar mat karo." Rayyan ne kaha. "Main uski behen ko yahan shift karwa raha hun. Aaj raat tak."
Shaam tak Alina ki choti behen haveli aa gayi. Dono behnein lipat kar ro padi.
Raat ko Rayyan ne meeting bulayi. "Sana ke khilaf sakht action lo. Police, court, sab."
Lawyer ne kaha "Sahab saboot kamzor hai. Wo kehti hai use kisi ne dabba diya tha."
Rayyan ne gussa se table par haath mara. "To main kya karun? Hath par hath rakh kar bethun?"
Alina ne dheere se kaha "Aap gussa na karein. Main theek hun."
Rayyan ne Alina ko dekha. "Tumhein pata hai? Aaj jab mujhe pata chala Sana aayi hai, meri jaan nikal gayi thi."
Alina ka dil zor se dhadka. "Kyun?"
"Kyunke..." Rayyan ruk gaya. "Kyunke contract khatam hone wala hai. Aur main nahi chahta tumhein kuch ho."
Jhooth. Alina samajh gayi. Ye contract ki baat nahi thi.
Raat ko Alina ne behen ko apne kamre mein sulaya. Behen ne kaha "Baji, wo aunty bohat buri thi."
"Haan beta." Alina ne uske baal sehlaye. "Lekin ab hum mehfooz hain."
Behen so gayi. Alina khidki ke paas khari ho gayi.
Neeche Rayyan lawn mein chakkar laga raha tha. Phone par kisi ko daant raha tha.
Alina ne socha: Ye aadmi itna sakht hai. Phir bhi meri wajah se itna pareshan kyun hai?
Tabhi Rayyan ne upar dekha. Alina ki nazar us se mil gayi.
2 second tak dono ek dusre ko dekhte rahe.
Phir Rayyan ne sar jhuka liya aur chala gaya.
Alina ne diary mein likha:
"Aaj Sana wapis aayi. Lekin sabse bada khatra Sana nahi hai.
Sabse bada khatra ye hai ke main Rayyan ke liye soft hone lagi hun.
Agar ye contract khatam ho gaya to kya hoga?"
To be continued...