Chapter # 3: "Wajdan Ka janoon"

503 Words
Lekin Noor bohat mushkil se usay calm down kartay huay boli, "Meri jaan! Api hai na. Sab sambhal le gi. Don't you worry..." Q k Noor ki tuition se jo earning hoti, wo Zahra ki fees aur ghar ke kharch mein laga deti. Mehngai itni zaida thi aur Noor ne 3 se 4 months ka rent pay nahi kiya hua tha. House owner ne unhe 2 ghantay mein ghar khaali karne ka hukum de diya tha. Noor ne bohat minnat ki. Unse kaha k "rent kuch dino mein pay kar dein gi." Q k parents ke baad yehi ghar tha jis mein uske walidain ki yaadein thin. Aur unka aakhri sahara bhi yehi tha. Lekin wo aadmi bohat sakht dil tha. Majbooran Noor, college ki ek friend Laiba ki taraf chali gayi. Laiba us se bohat mohabbat karti thi aur uski humdard thi. Zahra ko sath liya aur kuch zaroorat ka saman pack kar ke nikal gayi... Idhar Wajdan ke dil mein khayal aya k "agar wo wahi jaa kar dhoondhe to shayad usay wo mil jaye." Q k wo apni bechaini ki wajah nahi janta tha. Us ehsaas se bekhabar tha jo us ke dil mein subah se mehsoos ho raha tha. Subah se shaam ho gayi, aur shaam se raat. Magar Wajdan la-haasil tamanna dil mein liye khaali haath wapis mansion laut aya. Q k jisay wo us rastay par dhoond raha tha, wo to bohat door ja chuki thi... Ab kuch din mazeed guzar gaye. Ye pehli baar tha jab _"The Mafia Boss Wajdan Khan"_ ne khud ko be-bas paya tha. Sab luxuries honay ke bawajood usay apne king size bed par neend nahi aati thi. Ek aam si larki, jo ek jhalak mein uska chain aur sukoon kahi le gayi thi. Wajdan ka junoon us larki ke liye hadd se barh gaya... jis ka na naam wo janta tha, na address. Bas wo ek mulaqat jo adhoori thi, magar Wajdan ke dil mein ek toofan ko janam de gayi. Wajdan apni mafia duties bhi poori karta, lekin Noor ka khayal uske sath har waqt hota. Usne ek sketch banwaya jis mein Noor ki aankhein aur baal thay, jaisay usne Wajdan ko dekha tha. Wo ghanton us portrait ke samnay betha rehta aur har baar yehi kehta: "Tum jo bhi ho, jahan bhi ho... main tumhein dhoond hi loon ga. Q k Wajdan Khan ki nazar mein aanay ke baad wahan se bach kar nikalne ki umeed karna bewakoofi hai. Jab tak main apne har sawal ka jawab na hasil kar loon, tumhein marne ki bhi ijazat nahi. Main tumhein dhoond kar hi rahoon ga... har qeemat par." Ye keh kar Wajdan cigarette jalata hua portrait ke paas jata hai, aur Noor ke baalon mein haath phairtay huay creepy smile karta hai... *Kya chal raha hai Wajdan ke dimaag mein?* *Noor kaise khud ko aur apni behen ko bachaye gi is aanay walay toofan se?* *Kya honay wala hai aagay???* --- to be continue....... by _ A.M Qalam✍🏻
Free reading for new users
Scan code to download app
Facebookexpand_more
  • author-avatar
    Writer
  • chap_listContents
  • likeADD