DHOKA

595 Words
*BEWAFA* *Chapter 2: DHOKA*6 maheenay guzar gaye. "Best Trio" ab "Best Couple + Teesra" ban gaya tha. Zain aur Zoya. Ishq itna ke University ki har deewar gawah thi. Zoya ab Ferrari se nahi, Zain ki purani bike pe bethna pasand karti thi. Dono haath Zain ki kamar mein daal ke kehti: _"Ye bike teri Ferrari se mehngi hai Zain."_ Usman? Wo hamesha saath. Photo kheenchta, hansaata, par raat ko takiye mein mun daal ke rota. Zeher pak chuka tha.Phir wo din aaya. Zoya ke ghar Zain ka rishta gaya. Zoya ka baap, Malik Riaz: "Shakal dekh hai apni? School master ka beta meri beti se? Bhikaari! Izzat raas nahi tum logon ko."Zain ne sar nahi jhukaya: "Uncle, izzat paisay se nahi, kirdaar se banti hai. Aur meri Zoya..." Thappar. Malik Riaz ka haath Zain ke gaal pe. "Naam mat lena meri beti ka."Zain chala gaya. Khamoshi se. Par Zoya ne ghar sar pe utha liya. "Shaadi karun gi to Zain se, warna mar jaun gi."Idhar Usman ko moka mil gaya. Us ne Zain ko call ki. Usman: "Bhai, Malik sahab maan gaye. Par 50 lakh maang rahe hain. Kehte hain business mein lagayein ge. Tu de to rishta pakka." Zain: "Mere paas 50 hazaar bhi nahi Usman. Tu jaanta hai." Usman: "Fikar na kar. Mera zameer bech deta hun. Bas tu Zoya ko khush dekhna chahta hai na?" Agle din Usman, Zoya se mila. Aankhein laal. Usman: "Bhabhi... Zain ne soda kar liya." Zoya: "Kya bakwas hai?" Usman ne mobile nikala. Fake recording chalai. Zain ki awaaz: _"Haan yaar 50 lakh le liye hain. Zoya ameer hai, ek do saal guzar ke chhor dun ga. Phir tu sambhal lena usay."_ Phir bank ki fake slip. 50 lakh transfer - Malik Riaz ke account mein. Phir CCTV footage. Zain, Malik Riaz se haath mila raha hai.Zoya ke paon se zameen nikal gayi. Mobile haath se gir gaya. Zoya: "Zain... tu bhi?" Shaam ko Zain, Zoya ko milne aaya. Haath mein gulaab. Zoya ne bina sunay thappar mara. _CHATAAKH!_ Zain hairan: "Zoya?!" Zoya: "Kitne mein becha mujhe? 50 lakh? Itni sasti hun main?" Zain: "Kya keh rahi ho? Kaun se 50 lakh?" Zoya ne saboot us ke mun pe maaray. "Usman ne sab dikha diya. Tu lalchi nikla. Bhikaari ka beta bhikaari hi rehta hai." Zain ne Usman ki taraf dekha. Usman nazrein chura raha tha. Zain sab samajh gaya. Zain ne sirf itna kaha: _"Safai usay di jaati hai Zoya jo shak karay... tum ne to faisla suna diya."_ Zain chala gaya. Gulaab wahin gira reh gaya. Kanta Zoya ke paon mein chubha. Khoon nikla. Par dard dil mein zyada tha.2 hafta baad. Zoya ke ghar dhol. *Zoya ki shaadi... Usman se.* Malik Riaz khush: "Shukar hai meri beti us bhikaari se bach gayi. Usman acha larka hai, ameer bhi hai."Zoya dulhan bani bethi thi. Laal jora. Par aankhein sooni. Usman sherwani pehan ke sheeshay ke samnay khara tha. Khud se bola: "Aaj jeet meri hai Zain. Ishq bhi mera, dosti bhi meri."Molvi sahab aaye. "Qabool hai?" bolne hi walay thay... Ke darwaza zor se khula. Hawa ka jhonka. Sookhe gulaab ki pankhriyan urr ke Zoya ke qadam mein aa girin. Darwazay pe Zain khara tha. White kurta. Aankhein laal. Haath khali. Par chehray pe wo sakoon... jo toofan se pehle hota hai. Poora hall sunn. Zoya ki saans ruk gayi. Usman ke haath kaanpnay lagay. Zain ne sab ko dekha. Phir Zoya ko. Phir Usman ko. Aur halki si muskurahat ke saath bola: *"Ruk jao... janaza parhna abhi baaqi hai."*---*Chapter 2 Done* ✅💔
Free reading for new users
Scan code to download app
Facebookexpand_more
  • author-avatar
    Writer
  • chap_listContents
  • likeADD