*YAARI* *Chapter 3: Yaari*Police ne 2 din ka time diya. "Saboot lao, warna case Bilal pe."Rayyan ghar gaya. Baap cheekha: "Apni haisiyat bhool gaye ho? Us ghareeb ke liye apni izzat dao pe laga rahe ho?" Rayyan: "Abba, aap ne sikhaya tha... paisa kamao. Par ye nahi sikhaya ke dosti kaise kamatay hain. Aaj main kama raha hun."Raat ko Rayyan ne apne kharchay se CCTV wala bulwaya. Apni pocket money se. Chacha Rafiq ka counter, college ka gate... sab theek karwaya.Agla din. Subah 9 bajay. Poora college ground mein. Principal, Police, Maaz, Bilal, Rayyan sab mojood.Rayyan: "Sir, CCTV chalwa dein. Jumma wala din. 11 se 12 baje ka."Screen chali. 11:17 AM. Canteen khali. Maaz akela. Counter kholta hai. 50,000 jeb mein. Daraz band. Seeti bajata hua nikal jata hai. 11:20 AM. Bilal aata hai. Pani peenay. Counter se door. Wapas chala jata hai.Sannata. Is dafa wala sannata alag tha.Maaz ke chehray ka rang ur gaya. "Y-ye... ye edit hai!" Police wala: "Beta, haath peeche kar."Rayyan aagay barha. Maaz ke bilkul samnay. Poore college ke samnay. Ek zor ka thappar: _CHATAAKH!_ Awaaz gate tak gayi.Rayyan: "Tu ne sirf paise nahi churaye Maaz... tu ne meri yaari pe ilzaam lagaya hai."Phir Rayyan Bilal ki taraf mura. Sab dekh rahe. Rayyan ne apna branded watch utara. Bilal ka haath pakra, watch usay pehna di. Rayyan: "Log kehte thay meri haisiyat bari hai. Aaj pata chala... teri haisiyat tere kirdaar se hai Bilal. Meri haisiyat sirf mere baap ke paise se. *Aaj samajh aaya kaun ameer hai.*"Bilal kuch nahi bola. Bas Rayyan ko gale laga liya. Dono ki aankhein nam. Par is dafa sharam se nahi... fakhar se.Shaam. Wahi canteen. Wahi kona. Table pe 2 chai. Bill 40 rupay. Bilal ne 50 ka note rakha: "Aaj main pilata hun. Yaari barabar."Rayyan ne hans ke chai ka cup uthaya: *"Duniya haisiyat dekhti hai Bilal... hum ne yaari dekhi."*---*THE END* ✅ *"YAARI" - Mukammal*