Subah ke 6 baje, Kiara ab thodi theek thi. Doctor ne kaha tha, "Ab khatra nahi hai, lekin 2 din hospital me rehna hoga."
Adrian ne kaha, "Main yahi rahunga, tumhare paas."
Kiara ne kaha, "Aap office jao, main theek hu."
Adrian ne kaha, "Office se zyada important tum ho."
Adrian bathroom gaya, muh dhone ke liye. Usi time, ek nurse andar aayi, mask pehna hua tha, aankhein kaali.
Wo Nisha thi. Usne nurse ki dress pehni thi.
Raj bahar chai lene gaya tha.
Nisha ne dheere se Kiara ke paas aakar kaha, "Kaisi ho, Kiara? Bachcha kaisa hai?"
Kiara ne aankhein kholi, "Nisha... tum? Tum yaha kya kar rahi ho?"
Nisha ne has kar kaha, "Tumse milne aayi hu, aur tumhare bachche se bhi. Suna hai Adrian ne mere liye tumhe chod diya tha, ab dekho, mere bina uska kya haal ho gaya hai."
Kiara ne nurse ko bulane ki koshish ki, lekin uski awaaz bahut dheemi thi.
Nisha ne apni jeb se ek injection nikala, "Is injection me aisi dawai hai, jisse tumhara bachcha... ab is duniya me kabhi nahi aayega. Aur sabko lagega ki ye natural miscarriage hai."
Kiara ne kaha, "Nahi... please... mere bachche ko mat maaro... Nisha, main tumhare pair padti hu..."
Nisha ne kaha, "Pair padne ka time gaya. Jab tumne Adrian ko mujhse cheena tha, tab sochna chahiye tha."
Usne injection Kiara ke drip me daalne ke liye uthaya.
Tabhi darwaza zor se khula.
Adrian ne Nisha ka haath pakad liya, "NISHA!!!"
Adrian ne Nisha ko deewar par patak diya, injection neeche gir gaya aur toot gaya.
Adrian ne chillaya, "Doctor! Security! Ise pakdo!"
Nisha dar gayi, "Adrian, maine... maine kuch nahi kiya... main toh bas..."
Adrian ne uska mask khincha, "Nurse bani hai? Meri biwi aur mere bachche ko maarne aayi hai? Teri himmat kaise hui?"
Security aayi, Nisha ko pakad liya.
Doctor ne injection ka tukda dekha, "Ye toh... ye toh abortion ka injection hai, illegal hai! Agar ye lag jaata, toh Maa aur bachcha dono ki jaan ja sakti thi!"
Ye sun kar Adrian ka gussa saatve aasman par pahuch gaya, usne Nisha ko thappad maara,
"Main tujhe jail bhijwaunga, Nisha. Ab tu kabhi bahar nahi aayegi."
Nisha ro padi, "Adrian, please, main pyaar karti hu tumse..."
Adrian ne kaha, "Pyaar? Ye pyaar nahi, pagalpan hai. Le jao ise!"
Police ko bulaya gaya, Nisha ko arrest kar liya gaya.
Kiara bahut dar gayi thi, kaanp rahi thi, "Adrian, usne... usne mere bachche ko..."
Adrian ne usse gale laga liya, "Shhh, kuch nahi hua, main hu na. Main tumhe kuch nahi hone dunga. Aaj ke baad ek bodyguard hamesha tumhare saath rahega."
Us din Adrian ne hospital me hi ek faisla kiya.
Usne hospital ke mandir me, sabke samne, Kiara ki maang me phir se sindoor bhara,
"Kiara, aaj se main tumhe har buri nazar se bachaunga. Tum meri biwi ho, mere bachche ki Maa ho, aur is Black khandaan ki malik ho."
Nurses, doctors sab taali bajane lage.
Kiara ne ro kar kaha, "Adrian, mujhe ghar le chalo, mujhe yaha dar lag raha hai."
Adrian ne kaha, "Haan, kal subah hum ghar chalenge, apne ghar."
Lekin kahani yaha khatam nahi hui. Jail me Nisha ne ek phone kiya.
Nisha ne kaha, "Hello, Vikram? Kaam ho gaya, injection toot gaya, lekin Kiara dar gayi hai. Ab tumhara plan... us bachche ko..."
Kya Vikram aur Nisha mil kar ab bhi koi plan bana rahe hain? Kya bachcha safe hai?
---
Word Count - 2100