episode 5
"Assalam-o-Alaikum!"
Aiza enters the drawing room with a light greeting.
"Wa Alaikum Assalam!"
Her mother and Zain respond at the same time.
"Wow… aaj toh bare important log hamare ghar aaye hain."
"Achha? Itne saalon baad yaad kaise aa gayi humari?"
"Yaad toh main ne hi kiya hai, tum logon ko to shayad zarurat hi nahi pari yaad karne ki."
"Bas bas, ab dono phir shuru mat ho jana."
"Mami, dekhein na isay! Itne arsay baad aayi hoon aur yeh phir se shuru ho gayi."
"Madam ne na welcome kiya, na haal poocha. Guest aaye to chai pani ka bhi poocha jata hai, lekin yahan to sirf larai ka bahana dhoondha ja raha hai."
Aiza kuch kehne lagti hai ke Nazia Begum usay rok deti hain.
"Jao beta, pehle fresh ho jao. Khana serve karwati hoon, baad mein lar lena."
"Mom! aap bhi iski side le rahi hain?"
"Tum dono ne hi drama shuru kiya hua hai."
"Main ne koi side nahi li, tum hi Zain ko pareshan kar rahi ho. Ab jao fresh ho jao."
❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️
Ek gaari farmhouse ke gate par rukti hai. Har taraf guards kharay hotay hain. Kaali poshaak mein, kandhon par shawl liye, woh shakhs puray itminan se andar dakhil hota hai.
"Where is he?"
"Sir, woh wahi hai jahan aap ne order diya tha."
"Hmm."
Woh basement ki taraf jata hai. Secret room ka password enter karta hai aur darwaza khul jata hai.
Andar ek kursi par aik aadmi bandha hota hai, khoon se tarbatar.
Woh kursi kheench kar us ke saamne baith jata hai.
Aadmi usay dekh kar ghabra jata hai.
"Tum…?"
"Haan, main. Kya laga tha tumhein? Ke Baba Sain par hamla karoge aur bach jaoge?"
"Jawab do!"
Ariz Khan gusse se garajta hai.
"Maaf kar do… mujhe ghalti ho gayi."
"Ariz Khan ghaltiyon ko maaf nahi karta."
Bang! Bang!
Goliyaan chalti hain aur woh aadmi wahin gir jata hai.
Ariz Khan calmly uth kar bahar nikal jata hai.
"Agla kaam tayyar hai?"
"Ji sir."
"Majid, task ka kya hua?"
"Sir, main un sab par nazar rakhe hue hoon."
"Aap ka shak sahi nikla. Woh aurat Madam ko Canada bhejne ki tayari mein hai. Us ne urgent visa apply kar diya hai. Kal shaam 7 baje flight hai."
Ariz Khan ke chehre par ek gehri, mysterious muskurahat aa jati hai.
❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️
Dinner sab mil kar khushi ke mahaul mein karte hain.
Salman Sahib Zain se us ke ghar walon ka haal poochte hain. Aiza aur Zain ki choti choti laraiyan jari rehti hain. Thodi dair baad Salman Sahib business ki baat shuru kar dete hain.
"Dad! aap phir boring business topic le aaye?"
"Chalo humein ice cream par le chaliye."
"Beta, tabiyat theek nahi aaj. Phir kabhi."
"Aap hamesha bahana bana lete hain."
Aiza muh bana leti hai.
"Theek hai, main le chalta hoon."
"Really?"
"Haan, lekin apni pocket se."
Aiza khush ho jati hai.
Dinner ke baad Zain aur Aiza bahar nikal jate hain.
❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️
"Mom? Dad? aap ne bulaya?"
Hurain sofe par baith jati hai.
"Beta, baith jao."
"Kya hua? sab theek hai?"
"Kuch theek nahi hai."
"Kal woh log aa rahe hain tumhein lene… nikah ke liye."
Hurain ka chehra zard par jata hai.
"Main nahi jaungi! main un ke saath nahi ja sakti."
Hassan Sahib usay tasalli dete hain.
"Beta, hum tumhare saath hain."
"Lekin hum ne ek faisla kiya hai."
"Kaunsa faisla?"
"Tum kuch arsay ke liye Canada chali jao, apni khala ke paas."
"Kya?"
"Main akeli nahi reh sakti… main nahi jaungi!"
Woh rone lagti hai.
"Ye sirf kuch waqt ke liye hai."
"Agar tum nahi gayi to woh log tumhein le jayenge."
"Main nahi jaungi un ke saath!"
"Flight aaj 7 baje hai, tum tayyar ho jao."
Hurain rote hue apne ghar ko aakhri baar dekhti hai.
Usay sirf ek hi chehra yaad aata hai jisse woh bhaagna chahti thi…
Magar qismat usay usi ki taraf le ja rahi thi.
❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️
💞To be continued💞