Farhan At Tara's House

1194 Words
Farhan gusse se ek bodyguard ko apne room me bula kar hospital ke saamne car taiyyar rakhne bolta he. Bodyguard hospital ke bahar car le kar aa jaata he. Taara kuch soch paati usse pehle Farhan uska haath kash kar pakad leta he or chalne lagta he. Taara - sir sab dekh rahe he please mera haath chodiye. Farhan - chup raho. Taara - sir please please mere saath esa mat kijiye . Farhan - agar ab ek or shabd tumne bola to me ek bodyguard ko tumhare ghar bhej dunga , fir unki jo halat hogi tum dekh nahi paaogi. Taara rote hue farhan ke chehre ko dekhti rehti he. Farhan taara ko Car me betha deta he fir wo uske paas aa kar beth jaata he, or apne bodyguard ko kehta he , hotel le chalo. Ab aage... Taara dari hui thi farhan ne uska haath car me bhi pakda hua tha taaki wo car se utar kar kahi bhag na jaaye. 30 minutes me wo log hotel pohachte he. Farhan car se utar kar taara ki taraf ka darwaza kholta he or uska haath pakad kar khich kar lift me le jaata he. Taara rote hue - please sir mujhe jaane dijiye. Farhan taara ke kandhe pakad kar - mujhe gussa mat dilaao , chup chap chalo jaha me jaa raha hu warna utha kar le jaaunga. Taara rote hue - sir please chodiye mujhe dard ho raha he. Farhan - mujhe gussa mat dilaao or chup raho ab samji. Farhan taara ke kandhe chod kar uska haath wapas pakad leta he. Uska floor aata he wo room ka darwaza khol kar taara ko andar le jaata he. Taara apna chudane ki koshish kar rahi thi. Farhan gusse se - kya chaahti ho tum taara ?? Kyu mujhe gussa dilaane me lagi ho?? Taara rote hue - sir please mera chod dijiye mujhe dard ho raha he please. Farhan - thik he chod raha hu. Taara rote hue apna haath sehlane lagti he uske haath pe farhan ke haath ke nishaan pad gaye the . Farhan ka phone bajta he. Uske assistant ka call aa raha tha. Farhan call pik karke baat karta he,director ko farhan se shooting ke baare me baat karni thi ,farhan mana kar raha tha lekin uske assistant ne bola bohat zaroori he , farhan ne ok bol kar call cut kardiya. Farhan - director bula raha he mujhe zaroori baat karni he , niche ke floor pe hi he uska room me jaa kar aata hu. Taara ha me sir hilaati he. Farhan - tum aaraam karo yaha bahar 3k bodyguard chod kar jaa raha hu. Taara dhimi aawaaz se - bodyguard kyu? Farhan - tumhe kisi chiz ki zaroorat ho to usko bol dena wo laa kar de dega , or tum pe nazar bhi rakhega. Taara - nazar??? Farhan - ha tum yaha se bhag gai to... Taara - Farhan room ke bahar gaya or bodyguard ko bola madam ko kisi bhi chiz ki zaroorat pade to laa kar de dena , or dhyaan rakhna wo yaha se jaane na paaye. Itna bol kar wo lift me chala gaya Taara room dekh rahi thi. 10 minutes hui Taara room me bethi thi dari hui , uska phone bajta he uske ghar se call aa raha tha, wo call pik karti he. Ayaan - di aap kaha ho ? Taara - kya hua ? Ayaan - di mummy ki tabiyat kharaab ho gai he. Taara - kya hua mummy ko ? Ayaan - bukhaar hua he. Taara - tu unhe khana khila or dawaai de mere room me laa kar , me aati hu ghar. Ayaan - ha di jaldi aao. Taara - ha aa rahi hu. Taara call cut kardeti he or sochne lagti he kese niklegi yaha se, thodi der baad uske dimaag me kuch aata h3 wo darwaza kholti he saamne hi bodyguard khada tha. Bodyguard - kya hua madam? Aapko kuch chaahiye ? Taara - ha bhaiya mujhe bhuk lagi he aap niche jaa kar khana laa sakte he ? Bodyguard - ji madam. Bodyguard lift se ho kar niche chala jaata he . Uske jaate hi Taara bahar jaati he or room ka darwaza band kardeti he. Wo sochti he lift me kahi farhan na mil jaaye isliye wo bhagte hue sidiya utarti he. Niche aa kar wo chupte chupaate hotel ke gate ki taraf bhagti he bodyguard taara ko dekh leta he. Bodyguard chillate hue - madam rukiye..kaha jaa rahi he...madam. Taara texi me beth kar apne ghar le liye nikal jaati he. Bodyguard dodta hua directer ke room me jaata he , farhan usko dekh kar puchta he. Farhan - kya hua ? Bodyguard - s..s..sir madam bhag gai. Farhan gusse se - what kab ? Kese? Kaha, tumne usko jaane kyu diya ? Bodyguard - sir madam ne bola bhuk lagi he khana laa kar do , me khana lene aaya tha niche or wo texi me beth kar bhag gai. Farhan - chalo bahar or dhundo usko. Farhan Bodyguard ke saath bahar aa kar bolta he. Tum jaao is taraf jyada dur nahi gai hogi me hospital jaa kar uska address le kar aata hu. Farhan apni car full speed me chala raha tha. Farhan hospital pohach kar Doctor ke cabin me jaata he. Doctor - mister farhan aap yaha ?? Aapko to chale gaye the na. Farhan gusse se - mujhe taara ka address do. Doctor - kya ? Aapko taara ka address kyu chaahiye ? Farhan gusse se - address do... Doctor - hum ese personal details nahi de sakte . Farhan gusse se - aakhri baar bol raha hu address do , warna tumhara hospital ka aaj aakhri din hoga. Doctor dar jaata he or farhan ko taara ka address de deta he. Farhan address le kar nikal jaata he. Taara ghar pohach kar sidha apni mummy ko gale laga kar rone lagti he. Taara ki mummy usko chup kara kar bolti he. Sana - chal khana khale humne bhi nahi khaya abhi tak. Sab log khana khane lagte he. Khana khane ke baad taara apne room me chali jaati he. Taara thaki hui thi isliye wo nahaane bathroom me chali jaati he. Farhan taara ke ghar pohach jaata he, or door bell bajaane lagta he. Ayaan aa kar darwaza kholta he. Farhan ghar me aa jaata he guase ae chaaro taraf dekhta he usko taara kahi dikhaai nahi deti. Taara ke mummy papa farhan ko puchte he kon ho kya chaahiye. Farhan kisiki baat nahi sunta. Ayaan - aap to farhan sikandar hena? Farhan - Taara ka room kaha he? Ayaan - upper lekin aapko di se kya kaam he? Farhan bina kuch bole sidha upper chala jaata he. Room me aate hi wo chaaro taraf dekhta he taara waha nahi thi bathroom se shower ki aawaaz aa rahi thi wo samaj gaya taara bathroom me he , wo room ka darwaza band kardeta he or taara ke bed pe let jaata he. If this chapter made you feel something, please leave a comment ❤️ Your words keep me writing. ...
Free reading for new users
Scan code to download app
Facebookexpand_more
  • author-avatar
    Writer
  • chap_listContents
  • likeADD