Chapter 1: Raat 2 Baje 3 Kaale Suit
*Chapter 1: Raat 2 Baje 3 Kaale Suit*
Raath ke 2 baj rahe the.
Ayla Khan apne kamre ki khirki se bahar Karachi ki sunsaan sadak dekh rahi thi. Bijli gayi hui thi. Sirf door kisi gari ke horn ki awaz aur uske dil ki dhadkan sunai de rahi thi.
Aaj uske walid ki qabar par 40 din hue the.
Aur aaj hi unke karz daar ghar aa gaye the.
_Dhak Dhak_
Dewaar par saya para.
3 saaye.
3 kaale suit.
Aur 3 kaali topiyan.
Ayla ne foran parda band kar diya. Uske haath kaanp rahe the.
"Abbu..." wo dheere se boli, "apne kaha tha koi takleef nahi hogi."
Darwaze par dastak hui. Zor ki.
_DHAK DHAK DHAK_
"Ayla Khan? Darwaza kholo."
Aawaz sakht thi. Behreham.
Ayla ne darwaza nahi khola. Wo peeche hat kar diwaar se lag gayi. Aankhon me aansu.
"Main police ko call karungi!" uski awaz kaanp gayi.
Samne se qehqaha aaya. Sard.
"Police? Is sheher me police bhi unhi ka hukm maanti hai jinke liye hum kaam karte hain, Miss Khan."
Doosri dastak. Is baar darwaza hil gaya.
Ayla ne rona shuru kar diya. "Mere paas paise nahi hain. Abbu mar chuke hain. Reham karo..."
"Reham?" teesri aawaz aayi. Ye aawaz sabse khatarnak thi. Dheemi, lekin usme hukm tha. "Hum reham nahi karte, Miss Khan. Hum sirf hisaab barabar karte hain."
Darwaza toot gaya.
Ayla cheekh pari.
Samne 3 mard khade the. Kaale suit, kaali topi, aur haath me bandook.
Beach me jo khada tha uski aankhen... Allah maaf kare.
Kali, gehri, aur bilkul khaali. Jaise uske andar koi rooh hi na ho.
"Kaun ho tum?" Ayla peeche hatti.
Aadmi ne aahista se apni topi utari. Baal tarashe hue. Jabda sakht.
Usne Ayla ko sir se paon tak dekha. Jaise koi cheez check kar raha ho.
"Naam Azaan Mirza hai," usne kaha. Aawaz me shehad bhi tha aur zeher bhi. "Aur tumhara baap mera 50 crore ka muqrooz tha."
Ayla ki saans ruk gayi. "50... crore?"
"Haan." Azaan ek qadam aage barha. Ayla dewaar se ja lagi. "Aur ab wo mar chuka hai. To qarz ada kaun karega?"
"Main... main nahi kar sakti. Mere paas kuch nahi hai." Ayla zameen par baith gayi.
Azaan ne apne aadmi ko ishara kiya. Usne ek file Ayla ke paon me phenk di.
"Is me tumhare baap ke sign hain. Har paper par. Ghar, factory, sab kuch mere naam ho chuka hai."
Ayla ne file kholi. Sahi me. Uske walid ke sign.
"To... to ab kya chahte ho?" uski awaz bharra gayi.
Azaan neeche jhuka. Usne Ayla ki thodi apni 2 ungliyon se upar uthai.
Ayla ki rooh kaanp gayi. Uske touch me baraf thi.
"2 raaste hain, Ayla Khan." Azaan muskuraya. Lekin uski aankhen nahi muskurai. "Ek: Main tumhe aur tumhari choti behno ko is ghar se ghaseet kar sadak par phenk dun. Aur doosra..."
"Doosra?" Ayla ne aansuon ke beech poocha.
"Doosra ye ke tum meri biwi ban jao."
_Sannata._
Ayla ne socha usne ghalat suna. "Kya?!"
"Contract Marriage." Azaan seedha khada ho gaya. "1 saal. Sirf 1 saal tum mere naam ki biwi rahogi. Badle me main tumhara 50 crore ka qarz maaf kar dunga. Aur tumhari behno ki taleem, ghar, sab ki zimmedari meri."
"Ye... ye zabardasti hai!"
"Zabardasti?" Azaan ne qehqaha lagaya. "Nahi. Ye deal hai. Business. Tum apni izzat bacha rahi ho, aur main apna paisa."
Usne jheb se ek qalam nikala aur paper Ayla ke samne rakh diya.
"Sign karo. Ya inkar karo. Lekin yaad rakhna, inkar ke baad jo hoga uski zimmedar sirf tum hogi."
Ayla ne paper dekha. "Contract of Marriage - Azaan Mirza & Ayla Khan"
Neeche laal line. Sign ke liye.
Uske haath kaanp rahe the. Uske zehan me apni 8 saal ki behna ka chehra aa raha tha. Jo bhooki so rahi thi.
"Bacho... mere paas aur koi raasta nahi hai na?" wo apne aap se boli.
Azaan ne ghari dekhi. "30 seconds."
Ayla ne aankhen band ki. Aansu gira. Aur qalam utha liya.
_Karrrach_
Sign ho gaya.
Azaan ne paper uthaya. Usne pehli baar aankh jhapkai. Aur muskuraya.
"Mubarak ho Mrs. Mirza. Tumne abhi abhi Mafia ke saye me qadam rakh diya hai."
Usne Ayla ka haath pakda aur uthaya.
"Chalo. Nikah abhi isi waqt hoga."
Ayla ne aakhri baar apne ghar ko dekha.
Usay lagta tha uski sabse bari qaid ghurbat hai.
Wo ghalat thi.
Uski asal qaid ka ek naam tha... aur wo naam tha *Azaan Mirza*.
Aur sabse khatarnak baat?
Wo ab usi qaid me rehna chahti thi.
*--- End of Chapter 1 ---*
....... To be continue........ Chapter 2.....🖤