Pichhle episode me apne padha ki kaise nitya ko apne pati abhishek aur apni chacha ki beti tanya ke affair ke baare me pata chalta hai. Aur sath hi sath usse ye bhi pata chalta hai ki uske apne parivaar wale hi usse jaan se marne ki saazish kiye hai. Ab aage...
Raat ke kareeb 2 baje abhishek aur tanya, araam se ek dusre ki baaho me so rahe the. Tabhi nitya almorah ka gate dheere se kholti hai aur kamre ke bahar chali jati hai. Nitya ko kuch samajh nahi aa raha tha. Jyada rone se uske sir me bhi bahut dard ho raha tha. Wo sunsan sadak apr akele chali ja rahi thi. Tabhi achanak se samne se ek tez roshni aati hai. Air nitya apni ankhen band kar leti hai. Tabhi car ka break lagta hai aur usme baitha hua insaan bahar aata hai. Wo apne samne neeche behosh padi nitya ko dekhta hai. Aur usske chehre par ek pareshani ke bhav aa jate hai. Wo admi nitya ko godd me utha kar le ata hai. Tabhi uska driver car ka gate kholta hai to wo nitya ko le kar car ke andar ja kar baith jata hai. Wo nitya ko bade dhyan se dekh raha tha. Thodi der me wo log us admi ke villa pahuch jate hai. Driver ki awaaz se us admi ka dhyan nitya se hata. Driver ne kaha, sir ham villa pahuch gaye hai. Wo admi ok kahta hai. Aur nitya ko godd me liye hue hi car se bahar aa jata hai. Nitya ko le kar wo kamre ki taraf jata hai, aur use bed par sula deta hai. Tabhi thodi hi der me uski family doctor anjali sinha aati hai. Wo aate hi nitya ko check karne lagti hai. Thodi der baad wo batati hai ki jyada stress lene ki wajah se ye behosh ho gayi hua. Doctor nitya ko injection lagati hai aur kahti hai inhe araam karne dijiye. Inhe subah tak hosh aa jayega. Itna kah kar doctor anjali waha se chali jati hai. Wo insaan jo kab se nitya ko hi dekhe ja raha tha wo kahta hai, tumhe jaldi thik hona hoga angel. Mai tumhe kisi aur ka hote hue to dekh sakta hu, lekin majboor nahi dekh sakta. Tum pareshan na ho ab tumhara shikhar wapas aa gaya hai. To ab sab thik ho jayega. Lekin angel iss baar tumhe mujhse pyaar karna hoga.
Ji haan ye insaan koi aur nahi balki shikhar malhotra hai. Nitya ka bachpan ka dost hai. Shikhar nitya se pyaar karta hai lekin ek tarfa. Kyuki nitya to abhishek ke pyaar me giraft thi. Isne kabhi bhi nitya se kuch bhi nahi kaha. Nitya ki shadi ke baad shikhar india se bahar chala gaya tha. Lekin usne nitya ki khabar rakhni nahi chhodi thi. Nitya ke ghar me jo uske khilaaf sazish rachi ja rahi hai. Uske baare me pata chalte hi shikhar wapas aa gaya. Apni nitya ko bachane.
Agli subah
Nitya ki aankh suraj ki roshni se khulti hai, nitya uth kar muskurate hue kahti hai good morn. Nitya ne bas itna hi bola tha ki kal raat ki baat usse yaad aane lagti hai ki kaise uske apno ne hi usse itna bada dhokha diya tha. Nitya ki ankhen bhar jati hai. Lekin fir achanak usse yaad aata hai ki wo to ghar se bahar gayi thi to wo yaha kaise? Lekin tabhi wo gaur se dekhti hai to usse malum hota hai ki ye to uska room nahi hai. Nitya bade gaur se dekhti hai to us kamre me har ek cheez uski pasand ki hoti hai. Ab nitya aur jyada shock ho jati hai. Tabhi door open hone ki awaaz ati hai. Nitya mud kar darwaze ki taraf dekhti hai to saamne shikhar khada hota hai. Uske hath me 2 chai ke cup the. Nitya shikhar ko dekh kar hairaan hote hue, shikhar tum kab aaye.
Shikhar jawab dete hue kahta hai, jab tumhe meri zarurat thi. To nitya shikhar se puchhti hai tumhe kaise malum ki mujhe tumhari zarurat hai. To shikhar ne kaha. Yaad hai nitya maine tumse waada kiya tha ki jab bhi tumhe meri zarurat hogi mai tumhare paas rahunga. To mai apna waada kaise tod sakta hu.
Nitya fir kuch nahi kahti. To shikhar aage badhkar usse chai ka ek cup dete hue kahta hai. Pahle isse pee lo nahi to thandi ho jayengi. Nitya chai ka cup utha leti hai, aur dono chai peene lagte hai.
Thodi der baad shikhar nitya ko dekhte hue puchhta hai. Aage ka kya soch hai. Kya karna chahti ho?
Nitya confusion me shikhar ko dekhti hai. To shikhar kahta hai nitya, pareshan mat ho. Mai sab janta hu. Abhishek aur tanya ke baare me. Abhishek ka naam sun kar ek baar fir se nitya ki ankh bhar aayi thi. Use rota hua dekh kar shikhar kahta hai. Nitya rona band karo. Tum kamzor nahi ho. Tum haar nahi sakti.
Nitya shikhar ko kahti hai to kya karu mai. Shikhar tum hi batao mai kya karu? Jispe itna bharosa kiya. Jisse itna pyaar kiya, usne hi mujhe dhokha diya. Mujhe tod ke rakh diya hai Abhishek ke dhokhe ne shikhar.
Tabhi shikhar kahta hai, galat insaan chunogi to yahi hoga na angel. Lekin ab tum pareshan mat ho. Mai aa gaya hu na. Mai sab thik kar dunga.
Nitya shikhar ke gale lage hue bahut der tak roye ja rahi thi use apne aur abhishek ke sath bitaye hue pal yaad aa rahe the. Nitya ye soch rahi thi ki abhishek agar tumhe mujhse pyaar nhai tha to kh dete na mai tumhare raaate me nahi aati. Kyu kiya tumne mere sath jhootha dikhawa. Wo bhi us tanya ke sath mil kar. Maine tumhari har baat jo mujhe hurt karti thi ko ignore kar diya. Tum mere paas nahi aate the. Maine use tumhara upar kaam ka pressure samajh kar ignore kar diya. Lekin mujhe kya malum tha ki tum to apna dil kahi aur laga baithe ho.
Hello friends, aj ke liye itna hi milte hai agle episode me. To kya hoga abhishek ke kiye ka anjaam. Kya pyaar me dhokha khayi hui nitya degi khud ko aur ek mauka. Janne ke liye bane rahiye hamari kahani waada raha sanam ke sath. Please guys please meri novel ko supoort kariye aur like aur comment bhi kariye. Please apne friends ke sath share kariye.
Thank you