Do saal baad: Is bary se ghar mein har taraf khamoshi thi, jab Shanzy ki choolha jalane aur nanhi si kettle rakhne ki awaaz Ayesha ke kaanon mein pari. Shanzy is ke baad ghar to aa chuki thi, aur doctor ne use bata bhi diya tha ke tum ek nokrani ho, tumhein kaam karne hain. Aur Ayesha tumhari maalkin hai, aur Shanzy kisi nanhe bache ki tarah ye sab aise kar rahi thi jaise wo janti hi nahi thi ke Ayesha ne us raat uske saath kya kya tha. Ab uske chehre par muskurahat rehti thi, wo chai le kar kamray mein aayi jahan kamray ka halya bilkul badal chuka tha. Har cheez ki setting ho chuki thi aur Ayesha uski taraf kamar kiye apne coat ke button band kar rahi thi. "Maalkin, ye aapki subah ki chai." Wo kehti hui andar aayi aur kisi machine ki tarah chalti hui use bistar ke saath pare table par r

