Eisha kay wahan aatey hi shanzay side mein hoi : ji ap ki car saaf hogai , aur woh gate kholney lagi . Eisha car mein baithi aur usay gate say baahir nikaalney lagi : shanzay usay daikhney lagi . Usay aik dem kuch yaad aya jaisay us ki yaddasht ko koi jhetka laga ho : woh eisha ki car ko hesrat bhri nigahon say daikh rahi thi . aur woh usay ignore krtay hoiey chali gai . Shanzay ko hosh aya . oh yeh meray sath kiya hua , yeh mujhay abhi kiya yaad aya tha . is mein to mein hi thi . aur yeh to malkin theen . kiya yeh seb pehlay bhi hochuka tha . lekin doctor kay pas say to mein abhi abhi ai hoon . phir yeh seb .. khair chhoro . Woh sir jhatektay hoiey ender chali gai . Aur bed pr baith gai , usay abhi kia krna hay . usay kuch bhi yaad nahin tha . doctor kay mutabiq usay ghar kay baaqi

