Untitled Episode
Mera naam Aryan hai. Hum chaar dost hain: main, Zayan, Kabir aur Ryan. Hum Lahore mein rehte hain aur hamara ek YouTube channel hai jiska naam "Kala Saya" hai. Hum raat ko dravni jagahon par ja kar video banate hain.
Pichle hafte hamare channel par views bohat kam aa rahe thay. Hum chaaron mere kamre mein baithe soch rahe thay ke ab kya karein. Raat ke gyarah baje hum ne live shuru kiya. Live par ek bande ne comment kiya, "Agar tum mein himmat hai toh Mohan Pur ke kale kuan par jao."
Main ne Google par search kiya. Mohan Pur Lahore se chaalis kilometer door ek gaon hai. Us kuan ke bare mein likha tha ke woh sau saal purana hai aur wahan raat ko koi nahi jata. Kabir bola, "Chalo aaj wahin chalte hain, video viral ho jaye gi."
Hum ne gaadi nikali aur Mohan Pur ki taraf nikal gaye. Ek ghante baad hum wahan pahunch gaye. Gaon ke bahar bohat andhera tha. Door se hamein ek purana kuan nazar aaya. Uski intein bilkul kali ho chuki thin aur uske paas se bohat hi gandi badbu aa rahi thi, jaise Sara
Mera naam Aryan hai. Hum chaar dost hain: main, Zayan, Kabir aur Ryan. Hum Lahore mein rehte hain aur hamara ek YouTube channel hai jiska naam "Kala Saya" hai. Hum raat ko dravni jagahon par ja kar video banate hain.
Pichle hafte hamare channel par views bohat kam aa rahe thay. Hum chaaron mere kamre mein baithe soch rahe thay ke ab kya karein. Raat ke gyarah baje hum ne live shuru kiya. Live par ek bande ne comment kiya, "Agar tum mein himmat hai toh Mohan Pur ke kale kuan par jao."
Main ne Google par search kiya. Mohan Pur Lahore se chaalis kilometer door ek gaon hai. Us kuan ke bare mein likha tha ke woh sau saal purana hai aur wahan raat ko koi nahi jata. Kabir bola, "Chalo aaj wahin chalte hain, video viral ho jaye gi."
Hum ne gaadi nikali aur Mohan Pur ki taraf nikal gaye. Ek ghante baad hum wahan pahunch gaye. Gaon ke bahar bohat andhera tha. Door se hamein ek purana kuan nazar aaya. Uski intein bilkul kali ho chuki thin aur uske paas se bohat hi gandi badbu aa rahi thi, jaise sara hua gosht pada ho. Hum ne camera on kiya aur live shuru kiya.