bc

Pehla Mod Ur Palwasha

book_age16+
0
FOLLOW
1K
READ
BE
opposites attract
city
like
intro-logo
Blurb

Zindagi mein kuch baatein aisi hoti hain jo dil par bohot bara bojh ban jati hain, aur izzat aur kirdar ke dar se insan kisi se share bhi nahi kar sakta. Lekin wo andar hi andar insan ko dimak ki tarah khati rehti hain. Meri dastan bhi kuch aisi hi hai.Mera taaluq ek izzatdar Sadat khandan se hai, aur hamara khandan tasawwuf se jura hua hai, jiska ilaqe mein bohot asar-o-rusooh hai. Apne walid sahab ke baad mujhe hi is gaddi ko sambhalna tha, isiliye maine deeni aur dunyawi, dono tarah ke uloom mein apni taleem mukammal ki.Lekin pichle saal Ramzan se pehle meri zindagi mein ek ajeeb mor aaya. Hamare hi mohalle ki ek larki, jo matric mein meri class fellow bhi reh chuki thi, mujhe baar baar tang karne lagi. Wo jab tab mere ghar aati aur walid sahab ke mansab ke hawale se kuch na kuch masail poochne ka bahana karti. Maine shuru mein us par bilkul tawajah nahi di, kyunki mere zehan mein aisa kuch nahi tha. Lekin baat tab barhi jab usne kahin se mera number dhoonda aur w******p par lagatar messages shuru kar diye. Ek din usne mujh se apni pasand ka izhar kiya, lekin maine saaf inkar kar diya. Is inkar ke baad wo badle par utar aayi aur mujhe badnam karne ki dhamkiyan dene lagi. Baat yahan tak pohnch gayi ke ek din usne kaha, "Agar tum meri baat nahi manoge, to main khud ko nuksan pohncha loongi."Main is achanak aane wali tension se sakht pareshan ho gaya. Unhi dino Ramzan ka mubarak mahina shuru hua, to main hamesha ki tarah tafseer ki class lene Multan shehar chala gaya. Main wahan chala to gaya, magar uske messages ka silsila band na hua. Maine tang aakar use block kiya, to wo naye naye numbers se mujhe tang karne lagi. Main badnami ke darr se kisi ko kuch bata bhi nahi pa raha tha aur akele is azaab ko jhel raha tha.Isi pareshani ke dauran, mere f*******: page par ek follower larki aayi, jiska naam Palwasha tha. Palwasha bohot hi sanjida aur taleem-yafta thi. Maine akelepan aur darr ke mare us se sirf yeh poocha ke, "Kya koi larki waqai is hadd tak ja sakti hai ke khud kushi kar le?" Kyunki main andar se dara hua tha ke wo mohalle wali larki waqai koi galat qadam na utha le. Bas yahan se Palwasha ke sath meri guftagu ka ek naya silsila shuru hua

chap-preview
Free preview
Pehla Mod Ur Palwasha
Zindagi mein kuch baatein aisi hoti hain jo dil par bohot bara bojh ban jati hain, aur izzat aur kirdar ke dar se insan kisi se share bhi nahi kar sakta. Lekin wo andar hi andar insan ko dimak ki tarah khati rehti hain. Meri dastan bhi kuch aisi hi hai. Mera taaluq ek izzatdar Sadat khandan se hai, aur hamara khandan tasawwuf se jura hua hai, jiska ilaqe mein bohot asar-o-rusooh hai. Apne walid sahab ke baad mujhe hi is gaddi ko sambhalna tha, isiliye maine deeni aur dunyawi, dono tarah ke uloom mein apni taleem mukammal ki. Lekin pichle saal Ramzan se pehle meri zindagi mein ek ajeeb mor aaya. Hamare hi mohalle ki ek larki, jo matric mein meri class fellow bhi reh chuki thi, mujhe baar baar tang karne lagi. Wo jab tab mere ghar aati aur walid sahab ke mansab ke hawale se kuch na kuch masail poochne ka bahana karti. Maine shuru mein us par bilkul tawajah nahi di, kyunki mere zehan mein aisa kuch nahi tha. Lekin baat tab barhi jab usne kahin se mera number dhoonda aur w******p par lagatar messages shuru kar diye. Ek din usne mujh se apni pasand ka izhar kiya, lekin maine saaf inkar kar diya. Is inkar ke baad wo badle par utar aayi aur mujhe badnam karne ki dhamkiyan dene lagi. Baat yahan tak pohnch gayi ke ek din usne kaha, "Agar tum meri baat nahi manoge, to main khud ko nuksan pohncha loongi." Main is achanak aane wali tension se sakht pareshan ho gaya. Unhi dino Ramzan ka mubarak mahina shuru hua, to main hamesha ki tarah tafseer ki class lene Multan shehar chala gaya. Main wahan chala to gaya, magar uske messages ka silsila band na hua. Maine tang aakar use block kiya, to wo naye naye numbers se mujhe tang karne lagi. Main badnami ke darr se kisi ko kuch bata bhi nahi pa raha tha aur akele is azaab ko jhel raha tha. Isi pareshani ke dauran, mere f*******: page par ek follower larki aayi, jiska naam Palwasha tha. Palwasha bohot hi sanjida aur taleem-yafta thi. Maine akelepan aur darr ke mare us se sirf yeh poocha ke, "Kya koi larki waqai is hadd tak ja sakti hai ke khud kushi kar le?" Kyunki main andar se dara hua tha ke wo mohalle wali larki waqai koi galat qadam na utha le. Bas yahan se Palwasha ke sath meri guftagu ka ek naya silsila shuru hua.

editor-pick
Dreame-Editor's pick

bc

Unscentable

read
2.0M
bc

He's an Alpha: She doesn't Care

read
794.2K
bc

Claimed by the Biker Giant

read
2.0M
bc

Holiday Hockey Tale: The Icebreaker's Impasse

read
1.0M
bc

A Warrior's Second Chance

read
373.5K
bc

Not just, the Beta

read
357.1K
bc

The Broken Wolf

read
1.2M

Scan code to download app

download_iosApp Store
google icon
Google Play
Facebook