Nikkah moment
"Sign karo isay, Aima!"
Shahzaman ki awaz ne poore drawing room ko hila kar rakh diya tha. Usne nikah ke kagaz haya ke munh par nahi, uske dil par phenke thay
Haya ka kaanpte hathon me woh safed kagaz tha, jis par haya ka mustaqbil ka faisla likha tha. Haya ki aankhon se aansu rukne ka naam nahi le rahe thay.
"Main... main ye nikah nahi kar sakti, shahzaman.
Woh ek kadam aagay barha. Uska chehra gusse se laal tha, lekin uski aankhon me... uski aankhon me kuch aur bhi tha. Ek dard jo woh chupana chahta tha.
"Chup! Bilkul chup!" Woh dahada, aur usne haya ka nazuk haath pakad kar usy apne itne qareeb kheench liya ke haya uski tez sansen mehsoos kar sakti thi.
Mujhy sign chaea in papers par...
Shahzaman na gussy sa kaha...
Lakin ma tumse nikkah nai Karna chahti...
Haya na kehty papers Zameen par phenk dey...
Tum sign karogi abhi or isi waqat karogi...
Shahzaman na gun nikalty haya ka Walid ka sar par Tani...
Baba...
Haya na apny Walid ki tarf dekh kar roty hoy kaha...
Chor do Meri beti ko uska koi kasoor nahi ha wo Kuch b nai janti jany do usy plz...
Haya ka Walid n roty hoy hath jor kar kaha...
Wo kya janti ha kya nahi mujhy Kuch puchny ki zarorat nahi ha...
Shahzaman na gussy sa haya ki tarf dekhty hoy kha...
Shahzaman plz Meri bat suno ma nai Karna chahti tumse nikkah...
Haya na agy bharty kaha...
Mere 10 tak ginny tak sign kar dey to thek warna....
Shahzaman na phirse goli haya ka Walid ka sar par tanty hoy kaha...
Lakin...
1...
2....
Shahzaman na Bina haya ki bat suny count Karna Shuru krdia.
Haya na roty hoy sar pakrlia.. koi nai tha Jo uski madad kar pata is situation ma...
3.. 4 .. 5.. 6.. 7..
Ruko...;
Thek h m sign krti hu...
Mere baba ko Kuch mat Karna...
Haya na kehty hoy apny gallon par behty ansu saf key ...
Good...
Shahzaman kehty hoy safy par beth gaya...
Haya na Zameen sa papers utha kar samny rakhy...
Pen haya na kanpti awaz m kehty table p pary pen ko uthaya...
Haya ko sign karta dekh kar shahzaman ka chehry par Jeet ki chamak thi...
Or haya ka behty ansu uski shikast ki gawahi de ray thy...
Haya na sign Katy papers shahzaman ki tarf barhay...
Acha kia sign apny bap ka marny sa pehly kardey warna sign to marny ka bad b krny hi thy tumhy...
Shahzaman na ghamand bhary lehjy ma kaha...
Mujhy muaf kar Dena beta ye sab Meri wajhse hoa ha mujhy plz muaf kr Dena...
Haya ka Walid na phoot phoot kar rooty hath jorty hoy haya sa kaha.
Ye sab to Meri qismat ma tha baba apko Mafi mangny ki zrort nahi ha..
Haya apna chehry ko dono hathon ma chupaty rony lagi...
Abi in ansuon ki or b bohat jagha zrort paregi tumhy sanbhal kar rakho inhy...
Kehty Shahzaman haya ka hath pakarty whan sa le gaya...
Shahzaman, choro mujhe, dard ho raha hai," haya siski.
Usne haya ka haath aur zor se pakad liya. "Dard? Abhi se dard ho raha hai tumhe? Abhi to ye qaid shuru bhi nahi hua. Aaj se tumhari mohabbat khatam, haya. Aaj se tum sirf... sirf Meri Qaid me ho. Samjhi tum?"
Gari ak bohat bary Ghar ka samny ruki Jo bahir dikhny ma hi bohat alishan tha ..
Haya ka hath pakarty shahzaman usy seriyon k oper charhta apny room ma le gaya to Jo nehayat hi saleqy sa tarteeb dia gaya tha...
"Welcome to hell"
Mrs. Shahzaman.
Shahzaman na haya ko bed par Dhaka dety hoy kaha..
Yhan har Raat tmary Lea saza or har din tumhary Lea aazmaish ka hoga..
All the best for your new life..
Shahzaman kehty hoy drwaza Zor sa bad karty room sa bahir Nikal gaya..
Haya bed par lety zor zor sa roony lagi...
Jo shakhs kabhi uski puri duniyan hoa karta tha aj wo is rup ma Mila haya ko sansyn rukti hoi mehsos hony lagi...
Kya shahzaman ka ye qaid nafrat ka hai? Ya is nafrat ke peeche woh purani mohabbat abhi bhi zinda hai jo haya ko wapas pane ke liye itni had tak gir gayi?
Kya haya kabhi is qaid se mohabbat kar payegi?