bc

Nafs written by Muhammad waqas

book_age12+
6
FOLLOW
1K
READ
fated
heir/heiress
drama
serious
small town
like
intro-logo
Blurb

Nafs - The Battle Within Nafs*Wafa thought love was pure... until her own Nafs, her ego, destroyed everything.Shah loved her more than his life, but she chose pride over love. When she lost him forever, she realized her greatest enemy was not the world, but the Nafs inside her.Now, standing between two graves - Hamza and Shah - with only a diary and a thread in her hand, Wafa must complete her journey from Gharoor to Sabar.Will she meet her Shah in Jannah? Will Allah forgive a heart that was once full of ego?A heart-touching Islamic tragic love story about Ego, Repentance, and Eternal Love.*Nafs*Aik muhabat or gunah ki kahani... Or phr kaisy sary kirdar Allah k kareeb ho Gy. Phly haar Gy or phr Uno NY Allah KO Paa leyaKya Nafs, Mohabbat se bada ho sakta hai?Wafa ne apne Shah ko apne hi gharoor ki wajah se kho diya. Jab tak usay ehsas hua, tab tak dair ho chuki thi.Ab Sufi Baba kehte hain, jo sabar kar jate hain unhein Allah Jannat mein unka khoya hua lota deta hai.Kya Wafa apne Nafs se jeet payegi? Kya usay us ka Shah is Jaahan mein milega?Ek aisi kahani jo aap ko rula bhi degi aur Allah ke kareeb bhi kar degi.---

chap-preview
Free preview
chapter Shah Alam or alima wafa
*Taaruf* Novel Name: Nafs Writer: Muhammad Waqas Category: Islami Tragedy / Social Tags: #Nafs #Tauba #Wafa #ShahAlam #Heartbreaking #UrduNovel Story Ka Taaruf: > Wo Aalim tha, Naam Shah Alam. > Wo Alima thi, Naam Wafa. > Shaadi se pehle us se 1 raat ki ghalti hui. > Shaadi ke baad us ne 1 jhoot bola. > Aaj Wafa usay chor kar chali gayi. > Aur Shah Alam... har barish mein thandi chay aur toote hue dupatte ka saath apne nafs ki saza kaat raha hai. > Kya gunah maaf ho sakta hai? Kya Wafa wapis aayegi? > Parhiye "Nafs" - gunah, pachtawe aur tauba ki kahani. CHAPTER 1: Shah Alam or alima wafa Raat ke 10 baj rahe the, bijli nahi thi. Sirf khirki ke sheeshay par barish ke thapar... aur kamre mein mombatti ki larazti hui roshni. Andhara kaafi gehra tha... par kamry m timtimati hui roshni sy halki halki roshni kamry m lag rahi thi. jis sy kamry ki chezain dhundli dhundli nazar aati thi. "Shah Alam" jay namaz par betha tha... dua maang raha tha... hamesha ki tarah Allah se Wafa ko maang raha tha, namaz mukammal ki aaj us ne safed kurta pehna tha. Jay namaz se uth kar wo chair par beth gaya. Samne meez par chay ka cup para tha jo thanda ho chuka tha, jaise uski zindagi. Aaj usay Wafa shiddat se yaad aa rahi thi... aaj hi is barish NY usy phir se sab kuch yaad dila diya... us NY apni wo diary Jo k hamesha ki tarah table k upper mombatti ki paas e parhi thi us Py tareer likhi aik sufaid dhaga us diary sy nikala songha or wapis diary me Rakh diya... or Kaha k Wafa ki dhagy sy aaj b tmhari Khushboo aati hai... or hamesha ki tarah Wafa ki yaad me aansu sy likhi wo diary band kr k Rakh Di... aaj phir usy judai ki wo Raat shiddat sy Yaad AA rahi thi... jis Raat wo Phali Raat Wafa ki Bina Raha tha... Usay Yaad AA Raha tha jab "Wafa" se nikah hua. Alima Wafa NY usy btaya tha k abbu ne kaha tha "beti, tumhare liye paak-daaman Aalim dhonda hai." 6 mahine shaadi ko guzre the... ke kisi ne purani video Wafa ko bhej di. Jo Shah Alam ki 5 ya 7 Saal purani video thi... jis me wo apny doston k kehny Py aik nachny wali Jaga per Chala gya tha... ya SAB usy Yaad AA Raha tha... Us raat ghar mein jang nahi hui. Sirf 1 sawal hua tha. *Wafa:* "Tumne bataya kyun nahi?" *Shah Alam:* "Darr gaya tha... ke tum chor do gi." *Wafa:* "Main gunah se nahi darti Shah Alam. Main jhoot se darti hun. Tum Aalim ho kar jhoote nikle... Main soch bhi nahi sakti ke main tum jaisay gunahgaar ke sath 6 mah kaisay rahi hun... Mary jaisi Aalima aur tum jaisa na-paak insan... Astaghfar... main to namazon aur daroodon me pali barhi hun... meri jaisi paak daman aalima aik napak insan k sath ni reh Sakti mujy napak logon se sakht nafrat hai..." *Aur kuch dair baad...* Darwaze par Wafa khari thi. Suitcase haath me tha. Sar par wahi safed dupatta jo nikah wale din pehna tha. Shah Alam ghutno ke bal uske paon tak aa gaya. Aalim tha... aur bheek mang raha tha. *Shah Alam:* "Wafa... Qasam Allah ki... main ne tauba kar li thi. 5 waqt ki namaz, tahajjud... main badal gaya tha, mujhe mat choro..." Usne kaanpte haath se Wafa ka dupatta pakad liya. *Wafa* ne aankh jhuka li, awaz bhar gayi: "Allah maaf karne wala hai Shah Alam. Main nahi. Main Aalima hun, dhoke wale ghar me nahi reh sakti..." _Chak... darwaza band._ Shah Alam ka haath hawa me reh gaya. Mutthi me sirf dupatte ka ek toota hua dhaaga. Wo _dhadam_ se farsh par gir para. Dupatte ke dhaage ko seenay se bheench liya. Aur cheekh para: *"WAAAFAAA!!! RUK JAO!!! MAIN AALIM HUN!!! GUNAHGAR HUN... PAR TUMHARA GUNAHGAR NAHI HU!!!!"* Barish tez ho gayi. Aalim behosh ho gaya phir na-jaane kitni ghanton baad usay hosh aaya... jab hosh aaya to Wafa ja chuki thi aur kamre me sirf 1 Aalim ki siskiyan reh gayin... Aur haath me Wafa ki khushboo wala toota hua dhaaga... Us raat ko Barish thi aur ASA lagta tha ke aasman bhi Aalim ki dukh me ro raha ho... Aalim wafa sy bhhht pyar krta tha... hamesha usy khony sy darta tha... ya SAB usy yaad aaya ke kaisy us NY wafa ko hamaisha ke liye kho diya... aurry ya SAB yaad kar ke Alam ro diya... or roty roty so gaya. Shah Alam ki yahi routine thi... dakhty e dakhty isi gham k alam m aik Saal guzara gya. *1 SAAL BAAD* _1 saal mazeed guzar gya. Aur _Wafa_ ka ek paigham tak nahi aaya. Shah Alam ka chehra ab boorha lagne laga tha. Aankhon ke gird siyahi. Baalon mein safedi. Shayad judai ka gham tha jo us k chehry py nazar aa raha tha... Dost kehte... "Bhool jao". Wo kehta... _"Usay rooh se chaha ho wo saanson ke sath nikalti hai!"_ Roz fajar se pehle uthna. Tasbeeh. Aur phir lamba sajda. _"Ya Allah, Wafa ko khush rakh. Chahe mere baghair hi sahi. Aur mujhe itna sabar de ke main us k bagair reh saku ya phr usy mujy loutaa dy..."_ _wafa wapis nahi aayi_ --- Subha 8 baje --- Pados wale ghar ka darwaza khula. _safed coat, file haath mein..._ _Dr. Mahnoor._ Ya Shah Alam ki ghar k sath wali ghar mein rehti thi. Wo akli thi na uska maan na baap na bhai. Wo aik doctor thi... Haan kabhi kabhar koi khana acha ban jata to Shah Alam ko de jaati thi... Lakin us NY aaj tak Shah Alam sy koi sawal ni kiya tha... or na he Shah Alam ny Dr Mahnoor sy kuch pucha... aana jana to tha lakin phir bhi ajnabi thy... Lakin us ajnabi pan m b aik apnaiyat thi dono ko... Wo apna farz nibha rahi thi. Sirf aik achy parosi hony ka farz or sath m wo doctor b thi to is leya b hamdardi b thi usy Shah Alam sy. Lakin Shah Alam usy hamaisha dekhta to us k haq m hamaisha dua krta tha... aik parosi or dusra wo bilkul wafa jaisi thi... jis cheez par dat jati thi... us sy pechy ni hatte thi... Roz duty jana, 12 ghante. Phir thaki hari wapis aana. Koi shor nahi. Koi shikayat nahi. Shah roz khirki se dekhta. Or dua krta k ya Allah isy hamaisha khush rakh... _1 saal se..._ Pehle nazar andaz kiya. Phir aadat ho gayi. Aur ab... Wo bhi khabar Khana de jaya karti thi... _uske chalne mein Wafa nazar aati thi..._ _uske lehje mein Wafa nazar aati thi..._ _uski thakaan mein Wafa nazar aati thi..._ ---or wo hijaab b bilkul asy krti thi kaisy wafa krti thi. Or wafa ki Tarah dikhai daiti thi. Agli din... subha _chak_... barish shuru. Mahnoor ki file gir gayi. Shah ne utha kar di. Mahnoor ne sir uthaya, 2 second dekha, aur boli: "Khayal rakhiye ga. Raste m phislan hain." Shah ko aaj phr Mahnoor Ka khayal rakhna bilkul wafa jaisa e laga... Shah k khayal m aik bar phr wafa AA gai. Wafa or mahnoor dono aik jaisi thi. _ kah Ker Dr mahnoor chali gayi._ Raat ko Shah sajde mein gir para. Aankhon se aansu. _"Ya Allah... main kamzor hun. Janta hun ye Wafa nahi. Phir bhi is jhalak mein usay dhoondta hun. Mujhe maaf kar de."_ Kamre mein sirf tasbeeh ki khanak reh gayi... aur dil mein ek chehra. Phir raat 10 baje apni diary py tareer likhi or dhaga nikal k songhta hai or so jata hai... Shah Alam ki yahi routine ban jati hai... *Comment karke batayen": Kya Shah ko Mahnoor mein Wafa dhoondna gunah hai? đź’” Ab Shah Alam ki zindagi 1 hi line ban gayi thi. Fajr > Quran > Ibadat > Sajda > Intezar Subha 8 baje. Barish. Dr. Mahnoor. Safed coat. Haath mein file. Sar par kaala parda. Dr Ayesha Jo k Dr Mahnoor ki best friend thi. Dono ny ikathy parha. Dono e parday ki paband thi... dono aik naik serat family sy thi.dono aik jaga e duty krti thi. Aik din staff ka ghoomny ka programme bana. K Barish m Zara outing ho jay gi. Dr mahnoor ny bhhht mana kiya lakin Dr Ayesha k agy kis ki chalti hai... akhir wo Dr Mahnoor ki aklohti best friend Jo thi. Majburan Dr mahnoor ko b jana para... wo pik nik point par Gy wahan cofy pi. Ayesha: "Mahnoor, 1 pic mere sath bhi. Parda thora peeche karo na." Mahnoor: "Ayesha... nafs ki khushi 2 min ki hoti hai. Allah ki narazgi 2 jahan ki." Usne apna parda aur mazbooti se band kiya. *Aaj nafs ki 1 choti si jang jeet li." Lakin Dr Ayesha NY aaj phli bar apni bina dopaty k bhhht c pik Bana Ker sambhal k Rakh li thi apny PC me... usy Dr mahnoor k mana krny Ka koi asar na Hua... Dr mahnoor NY bar bar usko Bola K ASA mat kro. Lakin wo aaj ghr sy Ty kr k aai thi k zindagi KO enjoy krna hai. Bs asy e din guzar gya... Raat ho gai raat k 2 baje. Shah sajde mein: "Ya Allah... main apne nafs se haar gaya tha. Mari aik choti c ghalti Jaan lewa sabit hue. yaa Allah ya to Mari ghalti maaf kr k wafa ko loutaa dy ya phr mujy apny paas bula ly. wafa k Bina ya jahan adhura hai Yaa Allah wafa mujy bhhht Yaad aati hai. uska hansna muskurana. wafa NY Jo 6 mah Shah k sath guzary thy unka aik aik lamha Shah KO Yaad aata tha. NAA jany dono KO kis ki nazar lag gai... ---

editor-pick
Dreame-Editor's pick

bc

Forsaken Luna becomes Luna Queen

read
17.2K
bc

Primal Howlers Motorcycle Club Stories

read
34.0K
bc

Finding Love With A Biker At Christmas

read
221.3K
bc

The Slaved Virgin Offering

read
4.7K
bc

Twin Billionaires and Their Mafia Queen Vet

read
7.4K
bc

The Mafia Kingpins Lost Love

read
66.9K
bc

Claimed by My Bully Alpha

read
18.3K

Scan code to download app

download_iosApp Store
google icon
Google Play
Facebook