devbhumi ki beti
---
Main hoon abha / kanti . Uttarakhand ke ek chote se gaon ki ladki.
Jahan subah ghaadi ki awaaz se nahi, balki mandir ki ghantiyon aur pahadon se aati thandi hawa se hoti hai. Mere charo taraf unche-unche pahad hain, jaise koi mujhe apni god me sambhale hue ho.
Log kehte hain, pahad ki zindagi badi kathin hoti hai. Sahi kehte hain. Yahan har cheez ke liye mehnat karni padti hai. Paani ke liye 2 km neeche jana, lakdiyan lana, kheti karna. Lekin is kathinayi me hi ek sukoon hai jo sheher me kahi nahi milega.
Meri maa... meri duniya hai. Pitaji ke jaane ke baad se unhone hi mujhe aur is ghar ko sambhala hai. Gaon ke log kehte hain, "ek akeli aurat kya karegi?" Lekin meri maa ne sabko galat sabit kar diya. Unki himmat se hi main aaj strong bani hoon.
Aaj meri zindagi ka ek naya din hai. Aaj se main apne sapne poore karne ja rahi hoon. Main apni maa ka sahara banungi.
Subah ke 5 baj rahe the. Thand itni thi ki haath sunn ho rahe the, phir bhi main utthi. Maa ke liye chai banayi, bakriyon ko chara diya. Aur phir apni choti si diary nikali...
Us diary me maine likha tha - "Ek din pura gaon mujh par garv karega."
Kya main apna sapna poora kar paungi? Kya main apni maa ka naam roshan kar paungi?
---