Tum kaha thi ab tak m...mm... main Kisi ko dhond rahi thi.
mil gya kia wo or Tum kis ko dhond rahi thi ab tak wo kon sa shakas hain..
main us ko kahi se bhi dhond nikalo gi wo mere Bache ka katil hain main kabhi b us ko maaf nhi kar sakti.
Anna us ko mare teen Saal ho gy Tum bhool q nhi jati us hadse ko.
emali Kase Kase bhool jao wo dard bari Raat wo Meri pehli ulad thi ma Kase us ko bhool jao ma kahi se b us ko dhond lo gi zinda yah morda.
uff!annama Kase Tumhe samjao Tum Meri baat maan q nhi leti wo ja chuki hain.
emali chali jao yaha se jao Anna! jao chali jao.
acha theek hain main ja rahi ho Tum relax ho jao.
(main kitni hi dair roti rahi maloom nhi main roty roty kab so Gai pata hi nhi chala.)
Anna Tum chahti kia ho Tumne apny Pagal pan masub Kuch kho diya hain apna shuhar apna bacha or ab mujhy b kho do gi please apna yah Pagal pan khatam kar do ab.
Hhhhhhh! dafa ho jao yaha se emali Anna emali chali jao yaha se ab apni shakal mat dekhna kabhi b mujhy please.
roti roti yahi suchti yah sab Meri galti thi nhi yah Meri galti nhi thi yah sab us katil ki wajha se howa Meri nhi galti is ma koi.
Hanna Anna bilkul Pagal ho Gai hain mujhy Samaj nhi a rah ma Kase thk karo apni sab se pyri dost ko mujhy yakeen nhi ho rah koi Kisi ky pechy itna bhi Pagal ho sakta.
emali dekho wo bht bary sadme se guzri hain koi bhi us ki jagha hota wo b Pagal ho jata ek Raat main us ki pori duniya ujar Gai us ko samajny ki Koshish karo.
theek hain ma Samaj rahi ho per us ko dehan dena ho ga khud per abhi us ki Umar hi kia 25 ki tu hain agy sari Umar pari wo Kase guzare gi mujhy us ki fikar hoti hain bus or Kuch nhi.
Raat wo rote rote kab so Gai pata hi nhi chala subha jab wo uthi tu Kam ky liya Nikal Gai Kam se wapisi par us ki ek shakhas se molakat hoi wo us se galti se thakra Gai wo ek bas choti c molakat thi wo us se maafi mang kar chali gai.
wo apni dost se mil kar Ghar ponchi toh us ka husband us ka intazar kar rah tha us se us ki shadi 5 Saal pehly hoi thi in dono ki love marriage thi us ka husband bht sportive tha us ki har bt manta tha har baat per us ka Sath seta tha us ny us ko kabhi b apni dost se milny se nhi roka tha kyun ky wo Janta tha ky us ky dost ko us ki zarorat hy is waqat wo bore dor se guzar rai hain.
kia howa emali aj itni udas kyun ho us ny Sara mamla essa ko bata diya essa ny us ko tasali di sab theek ho jaye ga Tum fikar mat karo us ki BAAT us kar us ko thuri tasali mili wo relax ho gai.
wo such rahi thi apni ulad ka (us ki shadi ko 5 Saal ho gy thy in ki koi ulad nhi thi in dono bht koshish ki ky ulad hi jaye par nhi hoi)
essa ny us ki taraf dekha tu kaha mujhy maloom hain Tum ulad ko le kar preshan ho koi BAAT nhi Allah dy ga Allah ko yahi manzoor ho ga.(us ny us ko tasali di)
Ghar guste hi us ko apny bachy se yadain any lagi wo Raat ko so nhi pati thi har Raat us ko wo lhufnak Raat yaad ati thi jis Raat us ki beti ka qatil howa tha subha phir wo usi admi se thakra Gai us ny us se maafi mangi or us ka pecha karny Laga us ny us ka pecha cafe tak kia or phir waha se Chala gya.
agli subha us admi ny wahi Kam Karna shoro kar diya wo har waqat us ky agy pechy gumta har Kam ma us ki madad karta kabhi b us ko Akela nhi tha chorta us ko us se pehli nazar ka pyar ho gya tha us ny is ko pehli bar isi cafe ma dekha tha jab wo apny Kisi dost ky sath chai peeny aya tha wohi se us ko Anna se pyar ho gya tha(us ko maloom na tha yah wohi larki hain jis ki beti ka qatil is ny teen Saal pehly kia tha)wo is baat se Anjan tha.
wo apny Ghar a gai apny Bache ki tasveer dekhny lagi.
{AFTER THREE YEARS}
In teen saalo ma bhot Kuch change ho gya tha in teen saalo ma Anna ki shadi ho Gai usi shakhas se Jo us ki beti ka qatil tha emali ny ek beti god ly li thi.wo abhi b wohi khari thi in 6 saalo main.
us ny Khana banaya or apny shuhar ko uthaya Jo abhi b soya hi howa tha wo apny shuhar se bhot Pyar karti thi jis se is ny ek Saal pehly hi shadi ki hi thi or wo ab is ky Bache ki maa bane wali thi wo 9 maah se pregnant thi WI kabhi bhi bacha paisa kar sakti thi.
emali Anna ky Ghar I us se milne wo us ka Hal chal pochne I thi wo poch kar Jane wali thi us ny us ko jate howy ruka or kaha thuri dair ruk jao wo abhi bhi dost thy par ab UN main asi baat nhi thi Jo pehly thi Tum ny abhi tak emali mujhy maaf nhi na kia nhi asa nhi hain Anna main kab ki Tumhe maaf kar chuki ho mujhy bas tumhari fikar thi ma nhi chahti thi ky main Tumhe nhi kho do par ab acha hain ab Tum theek hon Tum guzri baton ko bhool gai ho or agy bar Gai ho ab tu Tum maa bhi bane wali ho Kuch hi dino ma main ma tumhare liya bhot Khush ho Khuda Tumhe hamesha Khush rakhy ameen( wo kitni hi dair ase batain karti rahi phir us ka shuhar a gya or wo howa se chali gai.)
wo kitni hi dair guzri baton ko suchti rahi ky in 6 saalo ma kia Kuch ho gya hain wo ase hi us ky sath Kam karta Raha wo ase hi us ki har Kam ma madad karta Raha ek din Anna ny us ko poch liya Tum kyu mery pechy pare ho m.....mmmmm...Tum se pyar karta ho bht pyr karta hon Tum se pehli bar