*"SAJDA" Chapter 3: SAMAJH*
Ab aankh khule gi_
---
Us raat ke baad suba kuch badal gaya tha.
Chai meethi lag rahi thi. Dhoop garam nahi lag rahi thi. Ammi ki khansi bhi kam lag rahi thi.
Main ne wazu kiya. 10 saal baad. Haath kaanp rahe thay. Par paani thanda nahi lag raha tha. Aisa lag raha tha jaise koi apna haath pakray huay hai.
Namaz parhi. Zohar ki.
Surah Fatiha adhi bhool gaya tha. Atak atak ke parhi. Par dil nahi atka. Dil chal raha tha. 10 saal baad chal raha tha.
Salam phera to ammi ko dekha. Darwazay mein khari thi. Aankhon mein aansu. Par muskurra rahi thi.
Main sharma gaya. 25 saal ka ho ke maa ke samnay bacha ban gaya.
Din guzra. Shaam hui.
Maghrib ke baad main chhat pe chala gaya. Aasmaan dekha. Wahi aasmaan jisko dekh ke 10 saal gila karta raha.
Aaj gila nahi aya.
Aaj shukar aya.
Main ne socha: _"10 saal main naraz raha. Us ne ek din bhi khana band nahi kiya. Saans band nahi ki. Maa ko nahi cheena. Phir naraz kon tha? Wo ya main?"_
Tab samajh aya.
Abba ka inteqal... wo le gaya nahi tha. Us ne bula liya tha. Unka waqt poora ho gaya tha. Main ne apni marzi ko uski marzi se ooncha kar liya tha.
Nokri ka na milna... wo rok nahi raha tha. Wo sikhana chah raha tha. Ke rizq sirf paisa nahi hota. Maa ka saya bhi rizq hai. Sehat bhi rizq hai.
Mohabbat ka tootna... wo cheen nahi raha tha. Wo bachana chah raha tha. Shayad wo larki mere naseeb mein nahi thi. Shayad us ke naseeb mein sukoon nahi tha.
*Wo saza nahi de raha tha. Wo bula raha tha.*
*Wo door nahi gaya tha. Main peeth kar ke khara tha.*
Raaton ko rotay huay main kehta tha _"Tu sunta kyun nahi?"_
Aaj samajh aya... wo sun raha tha. Har aansu gin raha tha. Par wo maa baap ki tarah tha. Bacha rota hai to foran god mein nahi uthata. Pehle rone deta hai. Taake bacha halka ho jaye.
10 saal main ro raha tha. Wo intezar kar raha tha ke main thak ke uski taraf dekhun.
Aur us raat main ne dekh liya.
Isha ki azaan hui.
Main muskuraya. Pehli baar _"Hayya alas salah"_ sun ke daur ke gaya.
Sajday mein gaya to pata chala...
Sajda sirf matha zameen pe rakhne ka naam nahi.
*Sajda "Main haar gaya" kehne ka naam hai.*
*Aur jis din banda haar maan leta hai, usi din jeet jata hai.*
---
*Khatam Chapter 3* ✅